19-March-2017, Sunday, 12:30 pm
Ye duniya mujhko jara bhi lagi na bhali...
Mujhe isme thodi si kamiya khali...
Ye ladte-jhagadte, ek duje ka jeevan tak cheen te logo ko ho kya gaya hai...
Inke bhitar ka manav kahan soo gaya hai...
Har hadh se tu gujra ab kya reh gaya hai, tune yha uski banayi duniya mein kya-kya na kiya hai...
Kise ko jinda jalaya, dabaya, fasi par taanga, kahi tukkdo-tukkdo kata...
Sach ka muh dabaya tune, haqeeqat ko chupa kagaz ke chand noto ko apas main bata...
Haq cheena unka jiska jinhe khud ke haq ka na pata tha...
Teri sikti chand rotiyon me ghar kise ka jala tha...
Kesa laga jab tune jo kiya vo khud ke or apne bacho ke aage paya?
Tere sath bhi yahi hoga tune kyo na ye andaaja lagaya...
Is dam ghot ti duniya mein tum jeso ka zehar sa ghula hai...
Shaitano ke chehre par bhi shareefo ka mukhota laga hai...
Mujhko tum me reh ke tum jesa ban na nahi hai...
Meri duniya to is duniya se pare bilkul alag kahin hai...
Main baaghi hua jo...
Hawaye ye ladti mujse dikhati akad...
Waqt kaid mutthi mein uski kalai maine li hai jakad...
Mai hu apni dhun mein pehli dafa dekho jeene chala...
Dikha thenga duniya ko haq mere unse chene chala...
Reeti-Rivaje badalne chala...
Bina hatha-pai ke ladne chala...
Muje nahi fasna hai tumhari duniya ki us daud mein...
Kon kis se behtar khamokha ki haud mein...
Main to apna jahan apne dhang se banane chala...
Kuch alag bhed-chal se karke dikhane chala...
Le faavde-karigar us khuda/rab ke jinhone swarg/jannato mein basere banaye...
Le kar tukde sab apne hisse ke 2-2 gaj zamin ke kahin is duniya se dur chlo apni duniya banaye...
Ye taare kyo itne door ye thode niche lagane...
Sabhi rangeen fuloo se mehakte bagiche banane...
Chand tak chandi ki ek lift banani...
Shower hata ke washroom me sedha jharno ka paani...
Bacho ke liye jannat se pariya mangani...
Kuber se heere-moti jawaharahat khandani...
Ek bahatreen samaj ek nayab soch...
Chote kandho par na basto ke boojh..
Sab ke ghar me jadui-jannat ke thal...
Har subha-sham thalio me raj-bhoj...
Pedh-paudho ko bhi chalne ghumne ki thodi mauhlat...
Machlio ko udne-chalne ki or pakshiyo ko tairne ki izazat...
Sweet-smooth life na koi kahi bhi rukavat...
Garmiyo me suraj ki jalati dhup ne ki khud suraj se bagavat...
Kirano se aati chandra ki sheetalta jesi aahat...
Hafton se ki kisi ne ched-khani...
Monday ki chodi kisi ne na nam-o-nishani...
Ye mere jese khwab kis ne bun liye hai...
Lag raha hai ap bhi adhrabhut rahoon par chal diye hai...
Ek ne ruk ke pucha sir ye kyo har maah(month) yaha jalte diye hai...?
Maine kaha buddhu har mahine yaha par holi-diwali...
Sardiya ghum-fir ke saal me 4 bar aani...
Christmas 4 bar aur mauka-mauka jaldi-jaldi ja ke ghar ammi ke sath eid manani...
Na leader na government na tanashahi...
Na kala-dhan na kali kamayi...
Na 26-11 or na 9-11 newyork wtc jese atanki hamle...
Or na be-gunah logon ki bemausam vidayi...
Na sawal na jawab ladkiyo se ke tu der se kyo ayi...?
Na kisi ki nirbhaya se jyadti, na ankho mein pani...
Na fir koi sharbhjeet, na esi hi an-ginat lachar kar dene vali na-insaaf kahani...
Sab azaad-khush ek-barabar, na jat-na pat na dharmo ka gorakh dhandha...
Na adalat, na vaakil, na jurm na vo statue tarazu vala andha...
100 sal ki puri-puri apni sabki zindagani...
Sabki apni-apni haseen bemisal kahani...
Jo tuute kisi bhanwre ka dil...
Jo kar na paye vo khubsurat kaali hasil...
To lad ke us rab se zid kar jaani or ishq-e-marz ki dawa uske vaidh se likhva ke laani...
Angel priya ke saare fake fb accounts deactivated...
Youth saara kuch kar jane ko, kamyabi haasil karne ko motivated...
Ye be-rang barishon me change thoda inme rainbow ki cartiradge/refill dalvani...
Kadakti bijliyo ki sound irritated inme iTunes ki playlist shuffle kar ke chalani...
Tedhi-medhi girti bijliyo ko hata ke disco vali lights lagvani...
Mount Everest tak man kre to ese hi ghum ana, asani ke liye escalator lagvani...
Sab set kra ke fir aisi duniya mein use le ke jana, jiske sath hain mujhko haste-haste sadiya bitani...
Suno abi aage or hai nahi hui hai khatam kahani...
Jalebiyo ki scooby-doo se rakhvali...
Har kisi par ane-jane ke liye car Batman vali...
Na dhokha kise ki life mai na biwi ko shaq...
Na keval sharmaji ke londe ko 99% lane ka haq...
Har ek mumtaaz ko uske shahjahan ki taraf se jeete ji tajmahal...
Har ek banda raja unka apna raj-mahal...
Sabhi shokeeno ki hasi shamon pe haseeno ka pehra...
Sabke maikado pe Jack-Daniel ka chehra...
Ye sab samjho meri nadani ya man-maniya...
Soche jo tu ho sakta mumkin nahi mere khwabo me payi maine esi hu-b-hu duniya...
By-Yatesh
No comments:
Post a Comment