Monday, November 27, 2017

Bitiyaa

Kajla fela dikhta hai uska vo rooti hai...
Hain majbut bahut irado se khud mein,
lekin hallato se himmat khoti hai...
Nanhi si thi papa sarr pe chadha ke rakhte the...
Uske nanhe se paav, choti-choti, maa ne pehnayi pajebo se cham-cham karte the...

Choti si bindia laga ke badi si smile karti thi...
Ek din badi ho ke chali jayegi vo soch soch maa-baba ki jan nikalti thi...
Hasti-muskurati vo sab ko bhati,
Daadi se sunti kahaniya kabhi sher vali,
Khargosh to kabhi hathi...

Siksha-gyan me sarvottam anko me sabse aage kise ke hath na aati...
Naaj-o-laad pyar se paali bin maange sab paati...
Jese jese badi hui sanskar barkarar...
Sahi galat ki parakh use apno ka mann badhati...
Izzat karti sabki or badh chadh kar dugni sab se izzat paati...

Na jeevan me koi galti ki na shikayat koi ghar layi...
Jisne bhi kosis bhatkane ki use jamkar fatkar lagayi...
Hui sayani waqt vivah ka aya...
Maa ne sab sikha, samjha, use agle ghar ke kabil banaya...
Ek sahi varr uske liye dhunda,
Jach-parakh kar santusti guru maharaj se pucha...
Aur ek acha sa mahurat sujhaya...
Baba ne joda jitna dhan kama ta-umar
vivah me sara lagaya...
Apne kaleje se laga kar vida pita ne apna kartavya nibhaya...

Ab pahuchi jab vo duje ghar,
3-4 din Kangna-sangna puja-path chala...
Ajnabi logon mein pahuch ghar se ma- papa bhai-behen bina,
Use bas adjust karna pada...
Usne kosis ki us ghar ko apna ghar sa banane ki...
Khush rehne ki khush rakhne ki...

Fir ek sham use jise ram tha mana usme use ek ravan dikha...
Nashe mein dhutt, jaban pe gali...
Us se jab pucha ye aap ho sakte nahi,
Galat hai ye sahi nahi,
Jis se kabhi uchi avaz mein kya ap se jabani lehze mein kahi tu na hua...
Chehre par pade nishan ka jab ghar vo pahuchi toh us se uttar de na hua...

Bana bahana baat talayi,
Jab tak beechi khub bichayi,
Ek din jab jeevan par ban ayi,
Tab ja ke usne awaz uthayi,
Sahi thi vo apni gajah 100 hath madad ko aage aye,
Bas khatam jo zillat ke the din andhere mein dar dar usne bitaye...

Insaan hai vo bhi kisi ki qaidi nahin,
Garv hai us par jo adhikar janti hai ab,
Galat bat na bardasht use or vo khud par kya duje ke liye bhi sehti nahin...
Jeevan ka har ek naya din nayi zindagi shuru karne me saksham,
Or sach pucho to abi hui koi andher nahin...
Firse sahi shuruat ke liye hoti kabhi bhi koi der nahin...

Tu saksham hai,
Tu kis se kam hai,
Tere pero tale teri majbuti par jalti duniya hai,
Tere fainslo ki draddta par tajjub karti duniya hai,
Tere piche chalni ek din duniya hai,
Ek pehchan hai tu, ek udaharan hai tu,
Tu kal bhi thi tu aj bhi hai,
Tera kal bhi tha tera aj bhi hai,
Tu apne papa ki gudiya hai,
Unhe naaz tujpe kal bhi tha aur aaj bhi hain.
Tu khushi bakhere jaa tu jaha rahe,
Befikra tu ji beparwah chahe logon ke jitne honth hile,
Tu udti jaa, tu chalti jaa jab tak tuje na teri manjil mile...
Jab tak na tujhe mukam mile...
Jab tak na tere panv thaake...
Jab tak na tere aage duniya ke salam jhuke...

By-Yatesh 🙏

Tuesday, October 31, 2017

Tera ab na hona hai...

Keh ke alvida...
Ye tumse dur chal pade kadam...
Zuban me dil ke lafz liye,
Jo tumse na kaahe...
Khuda hafiz ab tumko sanam...
Waqt bhi tera,
Mangu tumse na haq hai mera...
Manga jo tujhse maine,
Tumhare sang sath tak na tha mera...
Marziyon me teri feeki padi,
Meri arziyan...
Vo barsaate tan jalati tujh bin,
Vo sardiyo vaali raatan lambiyan...
Maine jaage-jaage tujh bin,
ankhein sujayi...
Jeena tujh bin mushkil sa kar ke,
Maine chor di ye duniya,
Khud mein choti si ek duniya basayi...
Kush rehna tera, jaha dil kare,
Mujhe manjoor har haal,
Tera muskurana ahmiyate rakhta hai,
Tu khud ko sambhal....
Dil par jor h na,
Na bandishein, tabhi toh,
Dil mod laya tujhpe,
Baki sa hai ab bhi kuch tujhse...
Kyon hai adhi si tu mujhme,
Tune jaha mujhe piche raahon mein chora tha,
Dil tujhse tuta tune jan ke na toda tha,
Mera asiyana us se bhi dur,
Tujh se h dur ab bahut piche hai...
Beshak ye duriyan tujhse,
sukhi-sukhi anohon ko
Asruo se senche hai...
Tera ab na hona hai,
Naa teri raahon mein mud ke jaana hai,
Na teri duniya mein,
Na teri baahon mein aana hai...
Khoya tune mujhe,
Aur maine bhi mujhe h,
Tab jaa ke kahin,
Tujhko rooh mein samaya hai...
Tu na mujhe as pas dekhe vha bhi,
Tujhe khud se alag rakhne ke,
Isliye to khud ki jind nu maar mukaya hai...

Monday, October 2, 2017

Kassh mein kuch acha kar paun (ek kavita)

Jab vichlit sa hota hu...
Beth ekant kahi kisi sham...
Khud ke hi vicharo mein khota hun...
Sochta hu mujhe, mere man ko, mujko, khudko...
Kese behtar bana pau...
Kese sahi disha dhundu or khud ko saahi raah par le aau...
Na jane vese to kya chahu or kya pau...
Ab kese khud ke mann ko samjhau...
Kaash aisa ho ke ye sheetalta chandara ki mujhme ghar kar jaye...
Man bhi sheetal tann bhi sheetal...
Bhav mere sheetal-sheetal...
Svabhav mera sheetal sheetal...
Jab dekho or pranam karu mein surya dev ko to sochu ye teez jra sa mujh ko mil jaye...
Vyaktitva mera us tez se chamak jaye...
Ye vraksho jesa dhairya muje jo mil jaye...
Ye pushp jesa jeevan mera khil jaye...
Ye vedo jesa gyan agar muje sab mil jaye to har raah har dwar gyan ka khul jaye...
Ye jo taap agni ka main pa jaao to har burai ko jlaa jao...
Jo deepak ki loo jesa mujko prakash mile to andhere jivan mein sabke prakash mein bhar jao...
Jo mile nadiyo jesa mujko mauka jeevan dene ka, to mrat ko bhi mein jila jao...
Jo mile muje azaadi van-ashvo jese dur tak daudta jaun...
Panchiyo ki trah unche gagan mein chalang lgao...
Jo ban jaun geet main to niras jeevan me jeevan anand ha le aaun...
Jo ban jaun ek krishak mein to puuj haari ko barakkat laun...
Bhukhe nirdan jan ka pet mein bharta jaun...
Jo ban jaun ek sikshak main to arthpurn manavhitkari sevakrat jeevan ka path padhau...
Jo ban jau kuber main to nirdhano-jaruratmando par dhan barsau...
De ishwar itna gyan muje kise ko mein sahi raah dikhaun...
Sahi raah mile dua yahi...
Ban acha insaan...
Jo bas me hain mere karta jaun..
















Thursday, September 28, 2017

That Girl

She was standing at the podium.
I was in the first raw sitting on the first bench to her side.
Actually the round was movie guessing round by the story.
She has got strucked when she was telling a story.
I helped her with the word in completing her sentence was "suspended" she smiled and thanked me in a single glance.
I have never seen such a beautiful smile and thanks together.
I nodded slightly my head to right down by saying "It's my pleasure"
Everyone in the class started smiling like they found something interesting.
And it was like I betraying my Boy team for her. By helping her.
The story she was telling was of "Mohabbatein"
I put my hand up in the air and she was smiling again and i said " I know."
Every girl in the class went like noohhh we're loosing.
Please sir make a rule if someone had already answered and got marks over the board.
Won't be able to guess and tell again. He's telling every single movie name since the round has been started.
And sir said no rules will gonna be change.
I got the Movie Maniac tag and almost every batchmates clapped & lots of them congratulated me.
Among all of them I was surrounded and searching for her but she had left.
She is the girl who joined our language classes batch lil bit later.
And she's so confident, bold, beautifull and shining sunlight of the winter season.
She has deep glowing eyes like I'm a Christmas lover and she has got Christmas in her eyes.
Just after her sweet music playing voice stopped at stage.
Opps!! Sorry her story telling not music
lol ❤
She sat in the mid raw of girls at my side on the right.
I turned back just to take a look and you know what i saw she was already looking at me.
I smiled like a rainbow and gave her a question mark look. What? 😄
And she replied back with a cute never forgetable smile as 'zilch' which is directly captured by my eyes and the picture of her saved into my heart and into my mind in my memory section.
Story to be continued....
😉

Friday, September 22, 2017

Darkhast-e-Mulakat

Mauhlat nikalkar mujhe ek sham de-de...
Akhri dafa, ek akhri mulakat de-de...
Tumhe dekhne ko tarsi-barsi ankhon ko aram de-dejiye...
Meri ektarfa chahto ko apni haziri se ho sake toh viraam de-dejiye...
Sare gile-shikwe apne ek din kaid-e-daraj kar aao...
Beete kal mein jo bhi hua bhool-maaf kar aao...

Main bhi tumko adha adhura nahi, pura-pura milunga...
Tum kehte jana jo bhi dil mein hai mein sunta rahunga...
Tumhe dekhne ko bekarar-bechain-besabar tumse pehle vaha mojud rahenge...
Waqt dijiyega kuch pal najre ap par tiki rahengi or ye hoth mere sile rahenge...

Tumhe dekh dhadkano ko kese bhi sambhalna hoga...
Khali kabse khamosh zuban mein lafzon ko firse dalna hoga...
Dil dukhe ya ashk a thehre teri khubsurat ankhon par na aisi baatein karunga...
Gam chupa kar sare tere-mere apne,
Teri zindagi mein fir se rab se saude vali mere hisse ki vahi khusiya bharunga...

Puchiyega na humse tum bin haal kese hai?
Dil ke vo jazbaat kese ab kaabu rehte hai?
Dil ka vo sara haal ab hum kis se kehte hai?
Tanhaiyo ko muskra kar kese seh lete hai?
Na chediye jane dijiye badi muskil khud ko or dil ko sambhale baithe hai...

Ankhon mein na jhakiyega vaha tumhe chahne vale ashk rehte hai...
Dekh tujhko daud ayenge, abhi talak tum samne ho maane jhuth baithe hai...
Ye chehra padhne vali khataye na karo...
In par ek gujari tum bin umar ne intezar aur hadho se bahar bardashtgi ke nishan de rakhe hai...

Monday, September 11, 2017

Darkness - Andhere

Din dhalte h hui nisha...
Andhera ka mila pata,
Andhere andheri raaton ke...
Dil ke dhalte andhere mere,
Dhalti meri sansoon mein...
Jagah jo de chuka hu dil me bechare ye bhi hai pyar ke bhukhe...
Dikhaya sach jo maine, inko dard jo maine...
Dar ke apne kaale roopo se aina dekh ke chaunke...
Kehne lage sara balidan hamara hum ujalo ko mashoor kar baithe...
Ye ujalo ke shareef asli chehra chupate log  karm kaale kaali raaton me kar baithe...
Hum bhi khubsurat the apne roopo me vo to ye log hai jo hume badnam kar baithe...
Ye berukhi humse ujalo ki, ye kuch zaalim duniya valo ki...
Ye inhone h hume kuch naam diye...
Chehre par bhayanak zakhm diye...
Hum na hote to kya ahmiyat hoti ujalo ki?
Kya khubsurati dekhne ko milti Chand-taaro ki?
Raaton ki gajah kaha hoti gehri baatein ujalo ke sataye heer-ranjho ki...
Hum bete hai raaton ke or dushman hamare bhai ujalo ke...
Jab chale jate hai vishram karne pita suriya...
Chup se nikal kar hum khelne ko a jaate hai...
Maa dant ti hai ke thoda kya sabr nahi...
Hum chanchal hai thode par kaha baaz aate hai...
Darti hai maa dhokebaaz un badlo se kayi dafa...
Jo jhuth bol ke humko din mein hi bahar le aate hai...
Dikha kar asli raang apna ujalo se hume marvate hai...
Bhaiyo se bhai ka katal karvate hai...
Raat maa kehti hai dharti hum sabki maata hai...
Hum annsh hai duniya ke har koi apna yaha dharm or karm nibhata hai...
Ye kesi duvidha hai hume apas mein duvesh kon sikhata hai ?
Vo chand jo takat suraj ki leke roj hamse ladne aata hai...
Kabhi haar jata hai, kabhi jeet jata hai...
Vo bhi apna karm or dharm nibhata hai...
Vo pita asman dekh kar ye ankhon se taare barsata hai...
Maan kar galti apni badra bhi fir ashru bahata hai...
Pyar hai ham me ab bi mojud...
Asmaan yun dekh kar indradhanushi muskan laata hai...







Sunday, September 10, 2017

Boat Of Life - Jeevan Naiyya

Ek bhari tufaan ke baad zindagi me sab ast-vyast...
Ankhe band ek drashya prakat...
Ek naav nadi ke beecho-bech...
Atit muje raha piche kheech...
Piche jaha ghanghor andhera...
Najuk se dil ke jazbaaton par jeevanbakhshak dukho ka pehra...
Mauusi ka jaha achal baseera...
Ek taraf samne naya bhavisya...
Ek taraf beeta kal...
Naye bhavishaya mein sukhad jivan, sundar kal ka manmohak rahasaya...
Sunsaan si rahein, gumsum hum jeevan mratyu ka akhri fainsla...
Chun na hume kya karna hai, baki sab madadgar adrashya...
Nadi van ke beecho-bech, bech us nadi mein meri naav...
Kuch kar jane ka, pa jane ka dil me chav...
Sahi disha ke liye us rab se guhaar...
Jo chaha bahut mar liye, paa jaana jii jaana is baar...
Sahi kehte hai bade mere jeevan mein kahi dhup or kahi chaav...
Sardiyo mein pyari gunguni si dhoop,
kabhi usi dhup se grishma ritu me jalte paav...
Kabhi logon ke shor mein mere dil ki baat dabi...
To raaton me ki baith ke gehri baat kabhi...
Kabhi asani se behti samundri lehro par sukhi naav meri...
Jese jeevan mein jab mili kai bar vo jeet meri...
Kabhi lehre banti tufaan muskil hi bachi naav meri...
Jese is jeevan mein mushkil hi bani koi baat meri...
Sukh kam bas sukh ke ummedo ke dil me sagar...
Us sagar se bhare, sukh se bhare adhjal gagar...
Adhjal gagar chalkat jaye...
Hote hue pas sukh...
Sukh se hum kam jee paye...
Gumnaam jiye, gumnaam rahe...
Is jeevan ke sab kasht saahe...
Jitna ho saka bhala kia...
Na jan ke kabhi kise ko koi kasht diya...
Chup-chap raahe kai halato ke gawah bane...
Jese bin kiye kuch saja mile...
Kisse hai ab bhi jeevan ke jo hai ankahe...
Acchai ke sada karam kare, jab aayi samajh apne sab dharam bane...
Kuch apno ko khoya, kuch gairo ko apna banaya...
Bahut kuch aise hi khoya, aise hi paya...
Pyar diya sabko jise apna keh ke bataya...


Wednesday, July 19, 2017

The Proposal

Zindagi me teri ek meri hai kami...
Zindagi me meri bas teri hai kami...
Teri-meri is duniya ka jo mein hu asmaan,
to tu hai meri zameen...
Ek dafa dena mauka mujhe...
Dekh dikha du kitna chahu tujhe...
Gar puche koi vajha be-vjah muskurane ki,
Dekhte-dekhte chalte tujhko takra jane ki...
Jack Daniel vargi teri ankhon mein behakne ki...
Hawaon ki pagdandiyon par badalo sang chalne ki...
Bata du raaz saare use, jeena sikhe pyar mein jeena na aata ho jise...
Nam tera lee, kar ishara teri taraf l, apni zindagani dikha du use...
Do izazat toh zuban ki kaid se lafzon ko chor du...
Jo keh saka na aj tumse main vo bol du...
Ghol du- ghol du tujpar jo likhi kavitao ko hawaon me,
Teri adao par likhi ghazalo, sher-o-shayri ko fizaaon me, tera nam le ke so dafa...
Dil ko nikalu sine se lekin batado ke ise pas apne kya doge jagah?
Kho jo jau tum mein main to kya dikha doge mujko pata manjilo ka, safar hai ye sang tera-mera miilo kaa...
Hath thame rakhoge hamesa ya doge chor bech mein hi, kuch hota nahi pata zindagi mein mushkilo ka...
Mein khafa ho jau to sine se laga lena mujhe ek dafa,
Tum jo ruthoge to kaise bhi kar ke main lunga mana...
Jab-jab baahein teri dhundegi panah, baahein khole hamesha dikhunga vaha...
Teri mushkilo mein sahara banu...
Teri tanhaiyo mein hath thame saya banu...
Tere andhero mein main roshani ban jugnuo sa khud me jaluu...
Kadam tere ho aage, piche bas hifajat sa ban ke chalu...
Tujhe shaamein pasand hai mein shaamein banu...
Tera sath ho bas hath mein hath thaamein banu...
Umar baad gujru tu dekhe har sham tera asman mein vo taara banu...
Har dua puri karne ko teri mein girta sitara banu...
Haq hai mujpe tera hu bikhra toota hua, sameet mujko aj se pura tera hua...
Dekhna suune hathon mein kangan aur kaano mein baliya suraj jesi damkengi...
Sitaron se humko kya lena ankhein meri  dekh tujhe unse teez chamkengi...
Chand par kya le jana vo to veeran hai, dil ki meri duniya me le chalunga jaha tujhko hona hairaan hai...
Tu abhi dil me basi teri-meri us khushaal duniya se anjaan hai,
Tere bina bata meri or mere pyar ki  prem-nagri mein kya pehchan hai?
Kaano me padti teri awaaz ruuh ki ek matra khuraakein hai...
Chain mera or dil ka sukoon dekhne ko tujhe ankhon se meri chupke se har ghadi jhaakein hai...
Dikhna tera in ankhon ko teri aur le bhaage hai...
Doorein hai pakki jo tujse judi ya tu hi bata ke bas kachhe dhage hai...?
Mujhe bas subha uthte hi tujhe apne pas paana hai...
Shaamon ka bas tu mera ek-matra thikana hai...
Teri kareebi mojudgiyo mein sukoon hai ye tujhe khwabo mein paa ke jaaana hai...
Tere hathon se rangoon mein rangna hai...
Teri baaton se hi bas khamosiyon ko bharna hai...
Teri muskaano se hi milti taakatein mujhe, mushkilo ko mujhse ab darna hai...
Itna sa mujhe bas tujhse abhi kehna hai,
Mujhe nahi rehna duniya ke bech mujhe to bas tujhme rehna hai...
Ho sakega kya ye mumkin bhala?
Haan hai teri ya, ye meri mohabbat un hi hai be-vjaha...
Dekh lijiye ban jaiye zindagi, dekhna kahi mere na-jine ki na ban jana vajah...
       
                     _yatesh.sangwan_

                     Written By- Yatesh

Friday, June 16, 2017

Rabb - رب

Ghum fir duniya ch tere darr mureh aa ke peh gaye...
Unha toh mila ni kuch bas tere jogge reh gaye...
Rabb man betha si mai tainu chadd kise gair nu...
Rehmta nu barsa de mere utte, rakh hath siir(head) utthe meri khair nu...
Apna le tu hii mainu kidda bhi ha kar ke...
Paira vich paa le auda chadaya hoya fuul samajh ke...
Naam le ke auda sai deep tere mureh, mere jalde...
Paar sare taar de, paar saree chetti lagde, te khushiya,
salamata vale dariyava vaagde...
Us nu bhi han rakhi khush fiqra toh door ni...
Oh bhi honi tere toh kisi majburi vallo dur ni...
Tere ashirwad nal kaam saare hon ge...
Beh ke tainu fer ohnu katthe mehfila ch gaun(sing) ge...
Rakkhi salamat har ek ranjha-heer nu...
Samjha-bujha ke kargar bnai unha di takdeer nu...
Mull pa de gudhi preet de, teri rehmatan di barsaatan nu baithe udeek de...
Maujja tu kara de, rabba mereya ve sanu bhatakde nu manjila naal mila de...
Jo tune ditta teeriyan razzan vich sangwan khushi mann beh gaya...
Oh ni auni cheetti mud, waqt kanna vich keh gaya...
Bakshi ohnu zindagi, jindagani vich audi la dayi bahaar ni...
Mere bare soche to zehan vich pa dayi osde oh na-kaabil tere layi tayyar ni...
Tere laye fainsle sar-ankha te dil vich saja ke rakhne...
Bada kuch kamaya maine sai kolo sare de sare pak karam aude hisse rakhne...
Lahu da bana de ghee, chamm di meri battiya...
Dil de aale vich rakh jagmag rakhniya mai audi saari kaali raatiyan...
Sambh lai ohnu jado jau tut-tut ni...
Mana lai ve appe raaba jau kade tere toh oh ruth ni...
Mere hisse vali khusiya ohdi jhauli vich dal dayi...
Ohde sohne hattha vich hath chetti kise nek bande da ha dal dayi...
Chaange dina nu dikhai ohnu...
Kade na rulai ohnu...
Himmat-Haunsle vadayi aude...
Kaabil nek lokkan ch maan vadhayi aude...
Aasa passe rakhi bande aude saau...
Mainu bhull jaye ohnu kadi yaad bhi na aau...
Rangeen rakhi audi har shaam nu...
Aish-o-aram, dhan-daulata hor khushali nu beh-beh ke takke oh tamam nu...
Ankhan kadh rakh meri aude uthe la ke rakhan layi dhyan ni...
Kaan rakh mere kaam de layi gaur farmayi je tu sune ohdi kalli ek-ek pukar ni..
Ankhan vich je aude ansu auu teh sada khusiya de aune chahide...
Meri sansein kadh aude sansan(saanhan) vale paimane vich meri umar payi de...
Dhadkana nu meri aude dil vich ban joggiya nachayi de...
Lahu nu ha mere aude lahu naal gale lag ke milayi de...
Eh mera vala pyar audi rooh vich basayi de...
Meri atma de dive naal audi ankhan vich roshnayi de...
Hath jod paira te paya mere rabba mainu aude vich milayi de...
Mainu aude vich milayi de, aude dil aale kothe vich payi de...
Bada mar leya sai tera yatesh ni mainu nayi zindagayi de...
Mere andro jeen vali saari ummeda nu fer haqqa mar ke jagayi de...
Oye chal sajjan kol chaliye betha takka tere bol...
Kadde ta mainu haqqa mar da sunayi/dikhayi de...
Bulleya vangu nachu, manjerra vangu bajju...
Dhol jehi taal gunjan gi mai tah najare sajan kol jan vali rahvahan de vekh-vekh rajju...
Khwab mere tere to bagair sai kar sakda ni koi pure...
Vekhi bakshi malika ve kade khwab mere reh na jann adhure...

















Tuesday, June 13, 2017

Teri Yaad - Ghazal

By - Yatesh
Date of Creating- 22 sept, 2015

Teri yaad chal fir ayi hai...
Kar degi tabah mujhe is dafa...
Mujhe zindagi se gila nahi, tumse hai...
Mujh par guzri hai kya ? tujhe kya pata...
Khamosh thi tu kyo har ghadi...
Jawab-e-izhaar tujhse mein raha jab puchta...

Teri yaad--------- is dafa.
Tujhe chahta raha hu main har ghadi...
Har pehar, har martaaba...
Roya hu lipat tanhaiyo se teri yaad mein,
Tujhe kya khabar tujhe kya pata...

Shikwa nahi tujhse magar meri bhi thi bata kya khata?
Paane ki tujhko thi lagi talab khooja har ek raasta...

Teri yaad---------is dafa.
Be-shart mohabbat tujhse ki tera sath hi bas na mila...
Ek-tarfa ishq karne ka yahi mila hai mujhko ye sila...

Soota nahi hu chain se, raato ko raaha hu
mein jaagta...
Teri berukhi ka ye sabab mila chuttaa hai rab se bhi mera vaasta...

Teri yaad---------is dafa.
Mujhe aaj bhi vo pal yaad hai chupke raaha tujhe jab dekhta...
Din aaj bhi koi gujarta nahi na hu tujhe jab sochta...

Ab mere dil mein tu mojud hai, kyo fir bhi rahu tujhe dhundhta...
Maana hai beshak rab tujhe kisi or ko kyo fir poojta...

Teri yaad---------is dafa.
Har khushi ko chal raha hun peeche chorta...
Gam ne thama hai hath ab mera...

Ye haal dekhkar mera har koi raha hai tookta...
Aaj rooka hai fir-se yaadon ne teri mera fir raasta...

Teri yaad---------is dafa.
Dil-o-dil tujhe bhi sayad pyar tha hothon par teri na ikraar tha, na inkaar tha...
Vo din jab tujhse mera izhaar tha teri khamoshi hi mera intekall tha...

Majboor thi tu kya us waqt?
Kya thi vajah bas tujhe hai pata...
Kar deti jo haan tu ek dafa khusiya saare jahan ki mein tere kadmo mein la daalta...

Teri yaad---------is dafa.
Jo hua chal use bhool jaa...
Aaj bhi intezaar mein hun saaf-saaf bata...
Uljh ke jee pana yun ab mushkil hai mera...
Ab bhi waqt hai, pyar hai to laut aa...
Na hai to derri or uljhaye rakhne ki ehsaso ki dooro mein, mujko wajah bata...
Khamosh na reh ab to kam-se-kam bol jaa...
Tu kaha gum hai kaha khoyi hai dekh yaha hai ghar tera...
Ab na sataa bas ab laut aa...
Rab ka tujhe hai vaasta ab laut aa...

Teri yaad chal fir ayi thi lo kar gayi tabah hume fir ek dafa.
Yahi hota hai tumhare baad tumhari yaadon ka hum par zulm be-intehaa...






By-Yatesh

Saturday, May 13, 2017

Maa - Mother

Kis maa ki kahani likhu?
Dharti maa ki, bharat maa ki?
Janam dene vali ki, ya fir pal pos kar bada karne vali ki?
Vo apna sa beta samajh kisi ko apnane vali ki ?
Ya haar maa ki hifazat ke liye un beto ki shahdat ki kahani likhu?
Ya fir aise veer beto ko janam dene vali maa ki kurbaani likhu?
Ya duniya bhar ka kasht jhelti hamare karan dharti maa,
fir bhi humara bharan-poshan karne ki uski bholi adaat purani likhu?
Ae maa tera konsa roop likhu?
Tera pyar likhu ya dard likhu?
Tera tyag likhu ya tere balidan likhu?
Ya teri mehnat se, tujhse mili pehchan likhu?
Tere anchal se mili vo chav likhu, ya tune jo sahi uske badle dhup likhu?
Tera mera pet bhar ke, khud ne jo jheli bhukh likhu?
Vo garmi me tujhe jalati chuhle ki aanchein likhu?
Ya vo garmiyon ki sham-dopehari me mere liye bin bijli tere jhalte pankhe chalu likhu?
Vo jo tune laa ke diye khilone jinme rakhe vo aale likhu?
Ya thapkiyo se dho school ki maili dress meri tere hatho mein pade vo chaale likhu?
Ya fir meri balaye bhagate lambi umar vaale vo tere bandhe kaale dhaage likhu?
Ya fir ab tak sambhal rakhein mere pehle chote-chote kapde, kangan, Tagdi, Rumaal jisme vo sanduko ke taale likhu?
Ya mere dukho me baichen teri saansein likhu?
Ya jo tune ek acha insaan bnane ke liye jo sanskar diye vo baatein likhu?
Mere shaunk likhu ya teri jarurato mein katoti vale halat likhu?
Jigyasu tha to tujhse jaani haar baat ke, maa ye kya hai?
Ise kya kehte hai?
Is se kya hota hai?
Aisa kyo hai maa?
Ye apne tujhse seekhe-jaane sawalaat likhu?
Vo meri kamyabiyo me nikle tere khusiyo vaale aansu likhu ya?
Mere liye duniya se ladti bahaduri vaali teri nidar baatein likhu?
Ya tune jo raat bhar jaag-jaag mera dhyan rakha vo teri fiqarmand-snehpurna raatein likhu?
Tera mujhe chalna sikhana likhu, ya tera mere piche thali le daudna aur khilana, mera vo tujhe satana likhu?
Tere banaye un uuni(woolen) sweater ki garmahat likhu?
Ya mere ghar me chupke se ghuste hi tujhe pata chal jane vali aahat likhu?
Tera vo mujhe bachpan mein mai gir na jau sambhalna likhu?
Ya jis din bhatak gaya is uljhe jamane mein to tere ghadi pal ghadi dar ke maare badalte khayalat likhu?
Ya tune jo papa se minute-minute mein kiye vo baichen sawalat likhu?
Vo bahar ka majburi vala khana likhu?
Ya tera apne hath se khilana, pet bhar jaye par dil ka na bhar pana likhu?
Vo tujhse ashirwad lena likhu ya tera sir par hath rakh sehla dena?
Ya mujhe dar lagta tha raaton mein to vo tera behla dena?
Vo dr. ka injection lagate hi tera mujhse muh ferna likhu?
Ya tere saaye me kaati ek bachpan ki vo bemisaal umar likhu?
Teri jesi maa milna hai mushkil naseebo ke khel, aise bata mein faqra likhu...
Aisi maa har janam mile, sabko mile to us rab ka isme shukra likhu....
Bas naam uska kafi muskra kar apne lekho me  bas "Maa" likhu...
Maa😊

Friday, May 12, 2017

Yaadein - Memories

Mere zehan me teri na mitne vaali kuch baatein ta-umar yaad rahengi...
Ek chatri ke niche gujari jo pyari barsaatein yaad rahengi...
Itna najdeek tera mere hona...
Mera apni duniya ke kareb hona...
Un dhadkaano ka apna aapa khona...
Tera meri ankhon me mehfuz hona...
Mera teri baaton mein muskurate hue khona...
Vo tera gale lag ke senti hona...
Jaoge nahi na kabhi bhi muje chor ke...
Keh ke teri ankhoon ka barsaat hona...
Mera has ke not sure keh kar tujhe satana...
Vo tera muh banana or fir main galat bol betha realize karana...
Fir tujhe bevkoofiyan kar-kar ke manana, hasana...
Tujse baatein karna bevjah har waqt tera muje, mera tujhe khamokha paresan karna...
Tujhe memes me tag karna, tere sath har chej share karna...
Mere bday par mujhse jyda tera excited rehna...
Vo suraj ka jaldi tere-mere liye ek naya din karte hue jagna...
Vo un shamon ka tere sath dhalna...
Chandra ka tere-mere liye ucchtar pradarshan karna...
Mera khwabon mein tujhe vaha le chalna...
Vo tera undoubtedly me kuch kar jaunga life me sure hona....
Vo tera-mera pyar ka antt dekhne ke liye sadiyo ka bhi umra-draj hona...
Mujhe meri ahmiyat batana...
Mere liye sab chor aana...
Mere liye kese bhi kar waqt nikalna...
Watsapp par be-jhijhak, be-dar meri dp dalna...
Abi busy hu, ek bar bolte hi bat man na...
Vo tera kisi bhi chez ko lekar zid kar jana...
Or mera tera kese bhi kar vo khwab pura kar jana...
Beshak pehli dafa jesi adat hai meri mana karna...
Fir tujhe bina bataye vo karna, surprise dena tujhe...
Ese tujhpar marna...
Tere liye sabse lad jana, kya ahmiyat hai teri samjhana...
Tere liye time schedule set karna...
Tuje jo pasand hai, vo muje na psand hote hue bhi sab karna...
Teri khushi ke liye hadho se gujar padna...
Kaafi dino bad dekh tera mujhe khud mein kaid karna...
Mera sath paate hi tera apno ko bhi gair karna...
Black colur jachta hai tum pe tera mujhe batana...
Kya dal ke a rhe ho aj, tere sath dressing colour match karana...
Shave rkha kro rough thodi jachti hai tumpe,
Or kabhi clean rakho na chubhta hai tera confuse karana...
Tera smoking chudana, vo mera drink karte hi tujhpe call milana...
Drink karni ni hai ab kabhi apni kasam dilana...
Jid karna apne hath se muje khilana...
Purani baatein puchna tumhe yad hai na, tumhe yad hai na...
Mera ainve hi ha kare jana...
Mushkil hota hai har date or baat yad rakh pana...
Tera mere bare me sab jan na bal ki khal nikalna...
Tere bat karte karte mera on rehte hi so jana...
Subha uth ke khud pe hasna tujhse baat karne me bhi darna...
Tera koi ni baby aap thake hue the so gaye koi ni...
Keh ke dil jeet jana, fir achanak se jan le lungi aage esa kia to muje batana...
Mera kisi ladki se bat karte hue tujhe dekh jyda frank hona...
Tera face dekhne layak hona...
Tera jatt de shoulder te sir rakh ke soona...
Tera mujhse meri ex-gf's ke bare me puchna mere tujhe jhute-mutte hi count karana...
Tera samajh jana, mera serious ho tujhe believe dilana...
Unki ek-ek speciality tujhe batana tera cute sa muh latkana...
Mera has dena or fir tera muje unke nam le-le ke...
Jao usi ke pas jao, unse hi baat karo muje line par lana...
Mera dimag thikane lgana...
Mera bas tujhe dekhna or tera mere bin bole sab samajh jana...
Tera mera fir vo raaton mein gehri baatein karna...
3 baje vo raaton ki khamoshi mehsus karna...
Fir jaane ki baat karna, itne der bad bhi jane ka man na karna...
Subha uthna hai finally good night bolna...
Bye kar ke bhi ghanto baat karna, drame karna...
Mere tujhe dumb jokes mar ke hasane ki kosis karna...
Tere meri khusi ke liye vo banavti hasi hasna...
Vo ek teri zindagi ka meri zindagi mein,
Or meri zindagi ka teri zindagi mein basna...
Suno agar aage future mein hum saath na rahe to yar...
Tum to pata ni kya haal kar loge apna...?
Kabhi kabhi tumhara itna pyar karna mujhe bilkul dara sa deta hai...
Or sochne par majboor kar deta hai ke tum apni life ko normal hi ni rehne doge...
Tera yun mera fikar karna...
Kya hua bat kyo ni kar rahe?
Mood kharab hain...
Kyo?
Ese hi...
Are btao na, kya hua?
Yar bas mann ni lagta kahi bhag jane ka dil karta hai...
Door kahi himalaya - vimalaya par...
Acha beta mujse chutkara pana chahte ho?
Chalo to fir btao kab chalna hai dono sanyas le lete hai...
Tera har tarike se sath rehne ke daave karna...
Subha sham dhyan rakhna khana khaya puchte rehna...
Tera vo mere liye beautiful cards bnana, lad ke unhe fir fad dalna...
Bina bole na reh pana ek dusre ko kese bhi kar manana...
Tera vo dur se hi dekh muje hath hilana...
Tujhe safe tere ghar tak chor ke aana...
Bike par tu so na jaye bat karna, yun mera kise ke liye fikar karna...
Yun kisi par itna bejhijhak marna...
Vo tujhe ulti-ulti cheze sikhana...
Tum bigad doge muje tera kuch baaton par aitraz jatana...
Main teri life main ane vala sabse acha shaqs hu tera muje btana...
Tera mere liye itna bharosa or pyar dekh mera ankho me muskurahate le aana...
Vo apna pyar chupa kar rakhna sabka sare-aam bevkoof banana...
Muje high fever hote hue bhi tujhse chupana...
Bas teri baatein sun na tujhse ese hal main bhi dur na jana...
Tujhse bat kre jana or chain pana...
Tera mujhe pata lagne par datna...
Mere thek hone ke bad bhi 15 din tak davai li tera puche jana...
Itna fikar karna tera to mera har takleef mein aram ban jana...
Teri badolat meri bevkoof besabar zido
ka behatreen insan ban jana...
Kese-kese, kin-kin halato me sabr karna...
Tera vo andhero or mausam kharab hone par bijliyo se darna...
Main hu na us rab ko bhi pata hai kitna pyar hai,
Tu mehfuz hai kuch ni hone dunga tujhe, rab bhi nafrato se door kahi pyar ke sath hai...
Tujhe or tere andaaz ko dekhte hi samajh jana ke kuch to baat hai...
Kisi chez ke liye mana mat kiya karo, tum mana karte ho to bhut bura lagta hai, dukh hota hai tera mujhe batana...
Vo mera tujhe chedna or tera unsuccessfully strict hona...
Special feel hona ek dusre ko karana...
Apne aaj mein beth kar kese krenege kese hoga, kal ke liye soche jana...
Ek dusre ke sath comfortable hona sath hote hi sari problems khona...
Teri di ka teri choice par proud hona...
Tere bhai ka muje ye banda pasand hai tujhse kehna...
Tera sardiyo me meri jacket me hath dal lena...
Or sardi lage to mujhe odh lena...
Mera sardiyo mein teri baraf hatheliyon me naram foonk se dhoop chor dena...
Mera tere andhi-tufano ko sansoon me kaid kar lena...
Tera mere chehre par chup se in sabke bech lal rang ghol dena...
Tera strawberry flavor na bhool pana...
Tera yad rakhna mera sab bhul jana...
Garmiyon me tere ac mein bhi paresan chehre par kashmir si sard foonk dalna...
Din bhar ki teri pathjhad thakano mein har sham apni hasati baaton se basant dalna...
Tera muje songs and novel suggest karna...
Oye heroo!!! Keh kar final warning dena...
Uff ye ladka!!! Meri baaton par extremely react karna...
Kahan busy ho beta??? Mere reply na karne par shararti fiqarmand lafzon me puch lena...
Main call kar rhi hu, finally free hun bat karni hai bol dena...
Acha thek baba jao tum, muje bat hi nahi karni...
Tera gussa ho nakhre kar kehna...
Hike par aao, yahi raho watsapp par late night on is not good...
Mujhe toote hue ko sambhalna...
Muje mere ateet ke gehre andhero se nikalna...
Mujhe bikhre hue ko sametna...
Mera bacho ki traha khayal rakhna...
Tujhe apni kavitaye sunana...
Tujhpar vo shayariya banana...
Vo din tera mujhe sabse acha dost batana...
Tera mera fir ek din relationship me ana...
Har mushkilo me kuch bhi ho sath rehna...
Ese hi rahenge hamesha tera mujhse jhooth kehna...
Tere pehle pyar ka teri zindagi me laut ana...
Tera mujhe ya use chun ne me confuz hona...
Mera teri confusion teri duniya se sada ke liye khona...
Maine ye chuna to tera khamosh rehna...
Maine sahi kiya akhri me mera khud se kehna...
Tera-mera hamesha ke liye ek din alag hona...
Mera nahi main to badal gaya us bache ka jo tu khyal rakhti thi uska tere liye har shaam roona...
Ye kuch batein yaad rahengi...
Kuch yaadein yaad rahengi...
Hamesha...

Friday, April 21, 2017

एक विचलित कवि

एक विचलित कवि हूँ मैं...
किसी के प्यार मैं विचलित...
उसे देख कर विचलित तो कभी सोच के विचलित..
वो प्यार करती है मुझे या नही ये उस से पूछ कर विचलित...
जवाब उसका क्या होगा ये सोच कर विचलित...
ना सुन के मैं विचलित फ़िर जब तक मना ना लिया तब तक मैं विचलित...
हूँ उसको अधूरा पा कर मै विचलित...
उसे फिर खो कर के मै विचलित...
एक तरफा चाहतों के बिच वो मेरी है, था सोच के  बह्रमित...
कभी उसके किसी का हो जाने के डर से मैं विचलित...
किसी गैर भंवरे का उस से बाते करने पर मैं विचलित...
तो कभी उसके चुप रहने पर हू मैं विचलित...
जो दिल मैं उसके लिये दीप जलता है उसके बुझ जाने के डर से मैं विचलित...
वो मेरे बारे मै क्या सोचती होगी ये सोच के विचलित...
सब ठीक हो जाएगा या नही ये खुद से पूछ के विचलित...
क्या उसके दिल मैं जगह बना पाऊँगा या नहीँ  भावुक हो फिर विचलित...
विचलित हूं, के विचलित था और कब तक रहूंगा यूँ विचलित...
जैसे मैं हूँ विचलित वो भी है वहाँ विचलित...
मेरी इन चाहतों के परिणाम /अंजाम को सोच के वो विचलित...
कविता /शायरी /लेख मेरे पढ़कर वो विचलित...
उसकी वज़ह से मुझे कुछ हो ना जाए इस बात से विचलित...
विचलितता के भंवर मै फँसाने से भी वो विचलित...
विचलित हो कर निरन्तर हो रही चिंतित...
चिंतित हो रही हूं क्यों ये सोच कर विचलित...
विचलितता के भँवर मैं वो मेरी वजह से पड क्यों गई मै खुद को कोस कर विचलित...
विचलित से खड़े हैं बीच समुद्र मैं इश्क की लहरों और तूफानों के,
पार जायेंगे दरिया के उस किनारे पर उम्मीदों मैं मै जीवित...
यहाँ कोई प्यार मैं विचलित,
तो कोई नफ़रतॊ मै विचलित...
कोई मुझे जान के चिंतित...
मेरे हालातों को समझ के विचलित...
मेरे जज्बात क्या खयालात क्या बेहद प्यार देख वो विशमित ...
विचलित भी है अब चिंतित,
और चिंतित भी है अब विचलित...
हाल-ऐ-दिल पर मैं चिंतित,
हाल-ऐ- दिल से मैं विचलित !
                         - (यतेश )

Taarif karu kya uski...

Ye dariya hai ya ankhein hai?
Ye chup-chup najre karti teri bemsal najakat ki apas main baatein hai...
Ye zulfein hai ya khubsurat koi shaam dhali?
Hathon se jo tune inko piche kiya to dekh meri yun tujhko saans ruki...
Ye maine abi abi kya dekha, tu jo dikhi to bin thehre tujhpe na bat bani...
Ye chehre par apke gumsum pehra kesa hai?
Muskane ye apki kahan gayi?
Ye dekho laut kar ye ayi, dua hai bas rahe ye yun hi bani...
Jo dekhi muskan labon par fir se tere,
Din ? Hafte? Mahine? Saal? Dashak? -na
Anginat sadiya -  haan, ji haan anginat sadiyan meri khushaal bani..
Ye dil mein kyo itne alfaaz chupa rakhe?
Jo tumne likhe hathon se harf ye harf hi hai, ya dil ke tukde insta par saja rakhe hai?
Ye sadgi tujhme kesi hai? Ye khubsurti sabse judaa tujhme kesi hai?
Yakeen mujhko hota nahi tu zameen par hai...
Tere sheher main hogi sayad dhund teri?
Muje kyo na khabar tu yha kab se hai?
Muje malum tera hua hota to mil jate kab ke waqt zaya na karte...
kyonki maine bhi kuch armaan saja rakhe hai...
Or ek taraf hamne tu kya jane jameen par hoti nahi sacchi pariya sharto ke jhutee  dher lga rakhe hai...
Tujhe dekh ke jalte haseen lekin tujhse kamtar chehro ne...
Unke dil ne dil-hi-dil mein unke tere jese ban ne ke liye kohram macha rakhe hai...
Ab ruk na to chahte hai hath mere likhna lekin is dil ne abi or bhi tere liye alfaaz bacha rakhe hai...
Tu baarish hai, koi aam nahi vo mansoon vaali barish hai...
Vo thandi si bochar hai tu jisme sang bhegne ke khwab ek heer ne ek ranjhe ne apni palko me saja rakhein hai...
Tu zinda rehne ki vo ummed hai jisne bhut si zindagiyo ko jeete rehne ke haunsle bandha rakhein hai...
Tu fuloon si mehakti khusbu hai or tune jannat ke karobar thap kara rakhein hai...
Kyonki tu apsara jesi dikhti hai or jannat valo ke bhi hosh uda rakhein hai, tune apne piche hi laga rakhein hai...
Tu dulhan ke hathon ki mehndi hai jisne nayi shuruat or zindagi jene ke farmaan suna rakhein hai...
Tu us choti si bachi ki khilkhilati hasi si hai jiske daddy ne use khush krne ke liye funny se face bana raakhe hai...
Tu maa ke fikar ke ansu jesi hai jisne sine mai teri kamyabi or khusiyo ki duao ke deep jala rakhein hai...
Tu registhan(desert) mein pani jesi hai jisne khud ki ahmiyato ke paath padha rakhein hai...
Tu nadiya hai tu dhara hai tune khud ke raah bana rakhein hai...
Tujhe jaana hai tujhe khud ke dam par jeena hai...
Tune toh patharo ke sine ko cheer apne vajood damka rakhein hai...
Tu koyal hai baaghon ki jisne kadve kadve boli-vachno valo ke bech surr apne mashoor kara rakhein hai...
Tu jaana ek bat to sun tu vo jalti sanjh dhale deep si hai jisne andhero ke chakke chura rakhein hai...
Tu kano mein padti ajaan si hai jisne ghar bethe mere karm pak kara rakhein hai...
Mai kaise tham jaun, kese mai ruk jaun tune ese hi to mere mujse hosh bhula rakhein hai...
Or hum khamosh se ho ke bethe hai...
Intazar se me baithe hai...
Ummedo me ke tu ek musafir hai mera dil teri raahon mein padta hai...
Isliye ankhon ke angan mein chamakte 2 deep jala rakhein hai...
Tu barish hai to mera dil sukha registhan sa hai, teri baras jane ki ummedo ke hisab laga rakhein hai...
Tu dil me aa jana maine ab dil ke makan khali kara rakhein hai...
Tu maalik hai ab sare kiraye-dar hata rakhe hai...
Yun pyar jo a jaye ankhon me to rokna mat beh jane dena...
Maine rab se unke...
Kimati, 'dariye' tak ko sokh lene vale rumaal manga rakhein hai...

By-yatesh

Sunday, April 16, 2017

Mere khwabo ki duniya

19-March-2017, Sunday, 12:30 pm
Ye duniya mujhko jara bhi lagi na bhali...
Mujhe isme thodi si kamiya khali...
Ye ladte-jhagadte, ek duje ka jeevan tak cheen te logo ko ho kya gaya hai...
Inke bhitar ka manav kahan soo gaya hai...
Har hadh se tu gujra ab kya reh gaya hai, tune yha uski banayi duniya mein kya-kya na kiya hai...
Kise ko jinda jalaya, dabaya, fasi par taanga, kahi tukkdo-tukkdo kata...
Sach ka muh dabaya tune, haqeeqat ko chupa kagaz ke chand noto ko apas main bata...
Haq cheena unka jiska jinhe khud ke haq ka na pata tha...
Teri sikti chand rotiyon me ghar kise ka jala tha...
Kesa laga jab tune jo kiya vo khud ke or apne bacho ke aage paya?
Tere sath bhi yahi hoga tune kyo na ye andaaja lagaya...
Is dam ghot ti duniya mein tum jeso ka zehar sa ghula hai...
Shaitano ke chehre par bhi shareefo ka mukhota laga hai...
Mujhko tum me reh ke tum jesa ban na nahi hai...
Meri duniya to is duniya se pare bilkul alag kahin hai...
Main baaghi hua jo...
Hawaye ye ladti mujse dikhati akad...
Waqt kaid mutthi mein uski kalai maine li hai jakad...
Mai hu apni dhun mein pehli dafa dekho jeene chala...
Dikha thenga duniya ko haq mere unse chene chala...
Reeti-Rivaje badalne chala...
Bina hatha-pai ke ladne chala...
Muje nahi fasna hai tumhari duniya ki us daud mein...
Kon kis se behtar khamokha ki haud mein...
Main to apna jahan apne dhang se banane chala...
Kuch alag bhed-chal se karke dikhane chala...
Le faavde-karigar us khuda/rab ke jinhone swarg/jannato mein basere banaye...
Le kar tukde sab apne hisse ke 2-2 gaj zamin ke kahin is duniya se dur chlo apni duniya banaye...
Ye taare kyo itne door ye thode niche lagane...
Sabhi rangeen fuloo se mehakte bagiche banane...
Chand tak chandi ki ek lift banani...
Shower hata ke washroom me sedha jharno ka paani...
Bacho ke liye jannat se pariya mangani...
Kuber se heere-moti jawaharahat khandani...
Ek bahatreen samaj ek nayab soch...
Chote kandho par na basto ke boojh..
Sab ke ghar me jadui-jannat ke thal...
Har subha-sham thalio me raj-bhoj...
Pedh-paudho ko bhi chalne ghumne ki thodi mauhlat...
Machlio ko udne-chalne ki or pakshiyo ko tairne ki izazat...
Sweet-smooth life na koi kahi bhi rukavat...
Garmiyo me suraj ki jalati dhup ne ki khud suraj se bagavat...
Kirano se aati chandra ki sheetalta jesi aahat...
Hafton se ki kisi ne ched-khani...
Monday ki chodi kisi ne na nam-o-nishani...
Ye mere jese khwab kis ne bun liye hai...
Lag raha hai ap bhi adhrabhut rahoon par chal diye hai...
Ek ne ruk ke pucha sir ye kyo har maah(month) yaha jalte diye hai...?
Maine kaha buddhu har mahine yaha par holi-diwali...
Sardiya ghum-fir ke saal me 4 bar aani...
Christmas 4 bar aur mauka-mauka jaldi-jaldi ja ke ghar ammi ke sath eid manani...
Na leader na government na tanashahi...
Na kala-dhan na kali kamayi...
Na 26-11 or na 9-11 newyork wtc jese atanki hamle...
Or na be-gunah logon ki bemausam vidayi...
Na sawal na jawab ladkiyo se ke tu der se kyo ayi...?
Na kisi ki nirbhaya se jyadti, na ankho mein pani...
Na fir koi sharbhjeet, na esi hi an-ginat lachar kar dene vali na-insaaf kahani...
Sab azaad-khush ek-barabar, na jat-na pat na dharmo ka gorakh dhandha...
Na adalat, na vaakil, na jurm na vo statue tarazu vala andha...
100 sal ki puri-puri apni sabki zindagani...
Sabki apni-apni haseen bemisal kahani...
Jo tuute kisi bhanwre ka dil...
Jo kar na paye vo khubsurat kaali hasil...
To lad ke us rab se zid kar jaani or ishq-e-marz ki dawa uske vaidh se likhva ke laani...
Angel priya ke saare fake fb accounts deactivated...
Youth saara kuch kar jane ko, kamyabi haasil karne ko motivated...
Ye be-rang barishon me change thoda inme rainbow ki cartiradge/refill dalvani...
Kadakti bijliyo ki sound irritated inme iTunes ki playlist shuffle kar ke chalani...
Tedhi-medhi girti bijliyo ko hata ke disco vali lights lagvani...
Mount Everest tak man kre to ese hi ghum ana, asani ke liye escalator lagvani...
Sab set kra ke fir aisi duniya mein use le ke jana, jiske sath hain mujhko haste-haste sadiya bitani...
Suno abi aage or hai nahi hui hai khatam kahani...
Jalebiyo ki scooby-doo se rakhvali...
Har kisi par ane-jane ke liye car Batman vali...
Na dhokha kise ki life mai na biwi ko shaq...
Na keval sharmaji ke londe ko 99% lane ka haq...
Har ek mumtaaz ko uske shahjahan ki taraf se jeete ji tajmahal...
Har ek banda raja unka apna raj-mahal...
Sabhi shokeeno ki hasi shamon pe haseeno ka pehra...
Sabke maikado pe Jack-Daniel ka chehra...
Ye sab samjho meri nadani ya man-maniya...
Soche jo tu ho sakta mumkin nahi mere khwabo me payi maine esi hu-b-hu duniya...

By-Yatesh









Saturday, April 15, 2017

Direct dil se

(One of my first five creation)
2014
Ye ek sachai hai jo dil se nikal padti h...
Kuch yadein hai jo aj bhi mera picha karti hai...
Vo tabh bhi mere sath thi aur aj bhi mere sath padhti hai...
Kuch aisi hai vo ke bas dil ko chuu jati h..
Main krta hu intezar wo bade der se aati hai...
Nam hai uska aisa ke banjar ko fir se hara bhara kar de...
Dil ke sukhe rajisthano me barish ka sa pani bhar de...
Dekhta hu bade aas se use ke kuch to isharaa kar de...
Jine ki kya bachi hai khuwahish bas ab to tabah kar de...
Apne un galon ke dimple se hume fanna kar de....
Bat abhi yahi khatm nhi hoti h...
Tu to mere sath saya ban har jagah hoti h....
Afsos nahi uska ke tu kyo dekhkar anjaan samajh kar muh fer leti h...
Dukh hai is bat ka ke kyo tu na meri hai, or kyo har waqt sath na mere hoti h....
Tujhe dekhte the chupkar ke kahi koi kisi se sikayt na kar de...
Hame kya pata tha tumhe bhi na chlega is mere pyar ka pta uske liye bas maf kar de...
Ya maula ye batein uspe meri kese bhi kar ke asardar kar de...
Uske dil ko uske asli kadardar ka haqdar kar de...
Thode mere haunsle bhi damdar kar de...
Haq hai uska mujh par or mera us par itna sa usko khabardar kar de...
Meri khanabadoshi chahato ko uske dil mein apna khud ka sa ghar de...
Jis din tu aati thi na wo din kuch aur hota tha...
Tuje dekh-dekh kar har pal roshan hota tha...
Bas puch mat tujhe dekh-dekh kitna khush hota tha...
Aur jis din na aati thi vo din bhi kuch aur hota tha...
Kahi piche beth ke class mein khoob bore hota tha...
Main khamosh or class ka principal sir ke cabin tak shor hota tha...
Padti thi dant tuje to dil-o-dil bada dukh hota tha...
Jo marte the kamine try tujhpe, racess me pakad-pakad ke dhota tha...
Ek ko to tune hi chudaya tha jab lawn ke pas thooka tha...
Tune mujhe hi galat samjha tha jabki kuch use tere liye pehle kehne se so dafa rooka tha...
Ye batein yad kar k aj bhi bhut khus hota hu...
Upar wale ka karam hai ke tu sath thi soch lucky feel karta hu...
Tu sabse alag thi, sbse alag h...
Main chahta hu tujhe tu nahi bas itna farak h...
Main tha sedha chup-chap sa sada se, tera aaj bhi vo hi svabhav kadak hai...
Hairan hai duniya vale sab ke sab ke mere har mukam ki ho ke tujse kyo jati sadak hai...
Me bhula nahi hu kuch bhi bitaya hua vo samay aj bhi yad h...
Un kal ki yaddon se hi mera aaj aabad hai...
Vo tera us mod pe mudna fir kbi kbi hmare sath chlna...
Wo kbi ruthna tera aur sab ne tujhko manana...
Tera mood off dekh kar dil ka dahl jana....
Vo rough ke pichle pannao pe nam ko tere mere nam ke sath rango se sajana...
Computer room me teri 26 january ki chup ke rehersal dekhne jana...
Vo tujhse chupa ke tera canteen me mera yaaro ke sath birthday manana...
Unka new year par greeting le ke aana or jo tujhse kehna chahata tha us par likh ke keh jana...
Or fir un panno ka na tujh tak pahuch pana...
Tujhe jeevan main bahut se log mile honge, or milenge...
Koi hai mere jaisa jiska raha ho dil ka itne saal tak ek hi thikana...
Subha roj hmara tujse kehne ki sochna....
Tu mana na kar de dar ke piche hat jana....
Vo tujhe acting kar kar ke hasana, tere liye fir sir/mam se mar khana...
Tujhe khwabo me pana aur subha uth ke khona...
Tujhe khud se kise ke sath attach, close dekh ke mera senti hona...
Fir ghanto tak is dil ko smjhana...
Gayi hath se dekh kese has- has ke bat kar rhi hai yaro ka mujko satana...
Tere jaate hi class se tere piche-piche paani peene jana...
Kese permission leta tha hasi aati hai soch ke bhi vo bahana...
Antakshriyo me dil ka haal gano ke jariye tujh tak pahuchana...
School over hote hi jha tak tu jaati dikhti thi bas dekhte hi jana...
Fir next day oye bhabhi ayi hai ya ni ye sabse jab tak koi haan na kar de puche hi jaana...
Fir next year sab mahool khatam vo tera school chor jana...
Jab admission kara betha tab tu gayi yha se ye jaana...
Grammar vali mam ne to bola tha der mat krna use jaldi batana...
Main khud me khoya sabka mujhe dhunde hi jana...
Kitna ajeeb sa lagta hai na jeevan main itna bada badlav aana...
Kuch bhi hamesha ke liye nahi rehta tab ye mene jana...
Har chej judi tujh se aaj tak yad h...
Tera bday, cell no. , address, fvt color, sab yad h...
Or tujhe to pta ni meri shakal yad hai ya nam yaad hai?
Ab to dar hai ke future mera kal kesa hoga...
Tu sath hogi ya nahi aur ane wala waqt kesa hoga...
Fir sochta hu jesa bhi hoga acha hi hoga....
Tu na hogi to koi nahi tare sath bitaya waqt sath hoga...
Vo yadein sath hongi, vo batein sath hongi....
Koi nahi thodi lambi raat hongi...
Main rhunga akela....
Bas yhi baat hogi....
Bas yahi baat hogi....
#HarKiseMeTujheDhundtaFiruJaiseIsDuniaMeOrKoiNa
#CreatedBy-#YateshSangwan
#ForSomeoneSpecial

Tuesday, April 11, 2017

A letter to X-BESTFRIEND

Situation- When your bestfriend forcibly tried to get into your life, and you're already struckin somewhere​.
Nafrat hai na shikayat hai...
Na rutha hu na tujse mohabbat hai...
Na thi kabhi ek kosis thi khus rehne ki...
Or bas kadam kadam par me ruk jata tha...
Tujhe rookta tha sedhe sedhe lafzon me samjhata tha...
Rooka tujhko tooka tujhko...
Kai dafa tujhe dia bata...
Mujhe apna ache se hai pata...
Mein kaid kabhi reh sakta nahi...
Ye bandhan mujhko khate hai...
Bedhangi batein bin sir per ke na mujko bhate hai...
Mein andhero mein hu ye tere bebak ujale mujko jalate hai...
Mera kisi par benama nahi mein ek ajad bhatakta badal hu...
Barasta hu jha mann khus karta hu...
Chhune jo chalo mujhko to khud ko dekho...
Or ulta muje samjahti ho ke mein pagal hu...
Hona kya hai jis hal mein tu, mein unse nikal kar gujra hu...
Ek wakt tha pura-pura mein...
Aj bas ek tooota sa tukda hu...
Soo bat ki ek baat samjah na bevafa hu na fukraa hu...
Tune kosis ki lakh mana karne ke bad...
Tu giri chot khake is baat se beshak ukhda ukhda hu...
Afsos hai mujko dukh bhi hai...
Par teri is haalat ka samadhan meri traf se mushkil hai...
Mein to na tera tha, na tera hu na tera kabhi ho sakta hu...
Mein bhi insan hu, hallat hai mushkil mere, tu samjhe insan bura mein dil ka hu...
Ye kaid mohabbat ke naam ki ye ishq ke pinjro me mein reh sakta nahi...
Mein ek waqt inhe se nikal kar azaad hua...
Mein khada hu aj jesa bhi tujhe lage sayd barbaad hua...
Mein khud mein khudi ko jagakar hu firse abaad hua...
Mana kuch bevkofiya hum se bhi hui unko najarandaj main kar sakta nahi...
Seedhe seedhe lafzon mein keh sakta hu kise se bhi mein darta nahi...
Tu samjah na paye mujhko...
Main andar tak samajhta hu tujhko...
Or hum to pehle hi kahi or fase hue hai samjhaya tha...
Ye waqt sahi nahi sath rehne ka tere tab bhi samjh kaha aya tha...
Thi shart yahi ke samjhdari yahi hai ki sirf dost rahe...
Khud ko rooka dur rakha anjam mere ankho ke aage in sb ka dataa rahe...
Ab lakh tu kuch bhi kosis kar, galat mujhe thehra ya nafrat kar...
Main janta hu har pal mein apni gajah par thek tha...
Jesa mujhe rehna chaye tha me vese tha...
Tujhe acha laga vo dosti vala sath mera...
Is se jyada tere liye kuch kar sakta nahi...
Ye teri meri raah alag tere sath apni raah chor ke bhi mein chal sakta nahi...
Tera mera koi mel nahi, or tujhme gar tu chahe mein fir bhi rahu to ye zindagi hai koi kaid nahi...
Soch ke dekh meri traf se jitne ki tu hakdar thi tujko us se jyada mila...
Tere pas mein chalkar aya nahi har mod har pal hi tu waqt par waqt ki traha aage khada mila...
Ye dosti teri ye sab chje jo bhi tha...
Mai tahe dil se sab chejo ka sukargujar hu...
Mein bhi jeene ki tavazoo rakhta hu...
Mein apne vicharo se azaad hu...
Jo tu samjhe tere sath rahu mera tere pas mein kuch bhi nahi...
Hai jaade alag meri mera kahi or hi hai dil ka thikana tere pas kise bhi halat main me thek nahi...
Galti teri jo aj is mukam tak a phauche...
Acha hoga gar tu chor muje khud par dhyan de or apne bare mein soche...
Beshaq tujhe lagega mein kyo aya teri zindagi mein ese bhul ja gar koi puche tu keh de tujhe yad nahi...
Samajhne vale kam hai or betha-betha kar, kar kosis mein smjhane vala nahi...
Mein acha hu ya bura har waqt har hallat mein alag ek insan hu...
Acho mein unka sab se acha hu...
Buro mein khud ek pehchan hu...
Antim yahi baat hai jab saman samajh nahi...
Or ek jesa kuch bhi nahi...
To tere sath kisi bhi trah se jude rehna sahi nahi...
Tu apni jagah mein apni gajah sab khatm yahi...
Muje khud ko chor ke kise duje ki parwah nahi...
Ha hu bura mein jo tu samjhe...
Sab jante hai main kesa hu parda kise se kuch bhi nahi...
Smajh samajh ki baat hai sari jab tu mujhko samjh sakti nahi aage koi baat nahi...
Or khud ko mein sabit karu ese mere hallat nahi...
Or kise bhi chez ke liye, javab sawal ke liye kise ke mai tyar nahi...
Ab koi bat nahi...


By-Yatesh




Savaan fuhaar - Raagae

-classical-
R-r-r-rr-rrrrr-rrrrrrr....
Jhar jhar jhar sawan jhar jharrr...
Bundiya jharrr jharrr....
Ankhein jharrr jharrr baras baras...
Bundiya mein ansu, ansu mein bundiya jharrr jharrr jharr....
Sawn barse ankhiyan barse jharrr jharr jharr...
Bijli kadkatttt manva dhadkatttt....
Dil mera jaye darrrr darr darr...
Manva dukhi vo bhi jharr jharr bin ashru jharrr jharr...
Tere bina sajan jau marrr marrr marr...
Bundiya me sath tere kabhi bhige the man tarr tarr tarr...
Yad mein tri je bhiju jo bundiya me jaooo jall jall jall...
Nainn tak-taki rah pe lagi as rahe tere a jane ki...
Jiya behlave avega sajan teraaa kall kall kall...
Chal chal chal le chal mohe jaha tera basera piya...
Jau jese rakhe mohe ese dhall dhall dhall...
Ohhh bol sune tere sadiya beetin...
Chehra tera ankhiyon mein chinn chinn chinn...
Taare ratiyan mein timm timm timm...
Rattein gujaro nit ginn ginn ginn ...
Sawan jave ritu nayi ave man ko tere bina koi na bhave...
Tujh bin pathar ho gya dil...
Sahe sahe jao julm ye hayeee...
Beri jamana ras na ayeeee...
Sawan barse manva milne ko tarse...
Tham tham jaye saanse svapan milan se...
Bansuri si baje mridang baje...
Taal me ave har baisakhi dhol dhama dham...
Teri yad mein nache mann bin ghungro ke chaam chaam chaam...
Deep jaalao sham dhale teri karti araj manan manan maan mein manan manan...
Kar le snwariya hal pe more taras taras thoda taras taras...
Nahi to ha jaye yad mein teri jevaan nikal nikal...
Agle janam tohe pane ki fir se aas yahi...
Man tere sang laga saat feero ke kasmo ka vaada...
Tere liye jao gir gir sambhal sambhal...
Pal pal pal...
Baras baras - araz araz...
Ye meri ladai khud se...
Tahe dil se gujarish us upar vale se...
Pao chain tabhi jab jao toh me o piya ek din mil mil mil....
Jhil mil jhil mil...
Rahe man mein aas bhateri....
Tabhi to mein jao kabhi allah ke pas...
Mangu dua din or raat...
Jao mandir mein rakhu upvaas...
Peer faqeero ki bhi maannate mangu lakho chadar chadao...
Tohe kuch bhi ha kar ke kese bhi mein karke jite ji na ho sake toh...
Paa jaooo mar ke...
Tujh mein bas bas jao...
Tohe kese kese pao...
Kise kise samjhao...
Jinda hu mein toh par roj roj kyo...
Ese adhuri adhuri mar mar jao...
Beri sawan beri rab beri jamana...
Beri mera man...
Khud mein khud ko hi na rakha pao...
Mein toh chain kese pao...
Mein to chal chal nange pao...
Raaaho pe jese jo b bata de paane ki aas mein dhak dhak pallu se sir...
Mein to khud ko beran hone se chipao...
Hooooooooh ohhhhhh hooooohhh....
Sun le araz meri abke baras meri...
Sawan barse ya na...
Meri kar dua puri is is bar...
Mein to lauti ho dar se tere khali har baar...






Sunday, April 9, 2017

HeLL-RaP

Aj kal ki duniya ke liye pyar ek khel hai...
Zindagi meri jese, kale pani ki jail hai...
Zanjeere hai mere hathon mein neki or achai ki...
Pairo mein baedi hai mere gunaho ki sacchai ki....
Mein kisi ki bhi baat nahi maanta ye mujhme kharabi hai...
Aaj main apne demons ke sath hu vo angels par bhari hai...
Janta hu khud ko acha dikhana or ban ke rehna ye to sbki jimmedari hai...
Okay main btata hu kya karna hai meri aj puri tayari hai...
Khud par kese bhi beetein tumhe sehna hai....
Usne bura kiya ye kise se na kehna hai...
Ye hasi sitam uska has ke muje sehna hai...
Muskrana hai duniya ke aage...
Beshak koi dil tera lekar bhage...
Control mein rakhna hai fellings or emotion ko chahe kitna bhi koi dil ke taar par chede raagein...
Mehnat karni hai vajood banana hai...
College jake lecture le ke aana hai...
Me thek hu me thek hu I'm fine I'm fine...
Koi bhi puche har kise ko batana hai...
Tie laga kar office jana hai job jo rakhna hai nahi gavana hai...
Gam bhulane hai daru nahi peena hai...
Smoke karna nahi hukka bhi ni chalana hai...
In sabke bech bhi jo hua seh jana hai...
I'm in the kitchen hath me phone khud se pucha kise milana hai...
Use hi jise tujse pyar nahi use call karke khus hu main...
Or ab mujhe bhi tujh se pyar ni use ye batana hai...
Kya be kab tak seedhi-seedhi rahon pe chalu...
Mujme bhi feelings hai kab tak gussa khud mein kaid rakhu...
Zamane ki esi ki tesi mujko vo sab karna hai...
Daru bhi peeni hai nonveg bhi khana hai...
Cigrette par cigrette Olympics ka rang biranga challa banana hai...
Hukke me daal flavor hone de nasha pura, tuborg ka surror pehla hi utra na hai...
Set hai aj tera bhai...
Shhhh....!!!
Ye kise ko bhi ni batana hai...
Kese bhi kar ke usko aj bhulana hai...
Bhai tere per to dekh sedha khda na hai...
Kis se chupana hai?
Mein yun hi chalta hun be...
Aj tak koi bhi brand tere yar pe chada na hai...
Gam piye hai maine shrab saali chadti nahi...
Ye jab bs pe leta hun bin gali ke baat koi full, muh se nikalti nahi...
Muje janti hai ache se bandi jo bhi...
Ek-adhi hi hogi mujse jo jalti nahi...
Wow what a day?
Laya ek botal yaha kyo rakhi hai doo(2)...
Ek to puri chadha gaya 2nd ke liye let's go...
Abe visible hai but hath mein aati nahi...
Ye teri mojudgi jesi hai lagta hai jese hai...
Lekin sach mein hoti nahi...
Hah pee ke thoda sach bak deta hun...
Mujko saale chadti nahi firse mein kehta hun...
Dil mene b toode hai...
Ye bhi le aj tuje sach kehta hun...
Bas pyar tha ek se...
Pehli ayi dusri ayi kehti thi pyar hai mujhse...
Mene pucha muje kisi or se uske siva hoga ye kisne keh diya tujhse...
Kehti mein behtar us se nahi jhoot bolti tujhse...
Chor de usko vo ladki achi nahi...
Dost hi ban ja chal koi bat nahi...
Mene kha ok, kareeb aati thi jaati rakhta tha tok ke...
Mene kaha rokki ve teri love express thoda sa break lagaa...
Koylo pe pani daal inko na de haava...
Tu jaal jayegi dil b jalvaegi...
Kitna bhi keh lu tujse smajh na tujko abi meri batein tujhe ayengi...
Jo jgah hai uski kise ko de sakta nahi...
Tujko behka sakta nahi esa mera vyavahar nahi...
Seedhe se sun le mujko tujse pyar nahi...
Over ho gayi thi raat jyada pee li...
Subha thane me ankh khuli raat ka kuch yaad nahi...
Itna yad hai hath me remote tha Tv dekhne betha tha...
Daroga ne clear kiya hath me 32 bore thi jamane ko ungliyon pe nachane ki tujhme or tere yar me haud thi...
Tere tamanche ki goliyo pe raat nautanki hui...
Asmaan ki chaati is kadar kuch chalni-chalni hui...
Ye to kuch ni fir race hui...
Hum piche-piche tum aage-aage...
Lala ki ikloti lungi tum jhanda bana inqalab jindabad karte le bhaage...
Naka toda tune red light tune todi...
Tere yar ki gf ko preshan karne vale ki naak or collar bone tune fodi...
Dekh hatho me tere khoon saboot hai...
Or hospital ke aage gaddi rok ke janta dara di sari...
Utar ke bola chalo be unhone pucha kon? to intro diya...
"Tu Yamdoot Hai"
Itni kyo peeta hai jab tujse jhilti nahi...?
Hath tu aya nahi khud hi thane aya ke nend thane jesi kahi milti nahi...
Court kachehriyo mein apne khule already account hai...
Case pehle hi bhot hai vakeelo se achi baat hai fees me discount hai...
Bandigraho me kadiyo me teri shayri mashoor hai...
Kahani teri aj bhi har kisi ke samajh se door hai...
Par tu ni sudharne vala adaat se jo majbuur hai...

#KeepYourselfOutOfTrouble
By-Yatesh


















Thursday, April 6, 2017

Manavta - Humanity

Sawal hai mushkil kuch uljhe hue...
Kuch sidhe to kuch suljhe hue...
Kuch mere khud se hi...
Kuch auro ke mujh se hi...
Jese ke kuch hallato ka,
Jo mujpar beeti un baaton ka,
Ek mein hi keval uttardayi hun...
Tu aake mujhse mil pechahn bata ke me sachai hoon...
Meri kalam jawab ye mangti hai...
Mere hridaya me basi jo manavta tujhme apni chavii ko jhakti hai...
Kis baat ko lekar jhagda hai...
Tu bhi manav, mein bhi manav...
Ya isme bhi antar paida karo mein,
Mai lekhak...!!
Or ek traf tu jeevan bakhshak...
Lekar hathon mein hathyar tu jeevan ko mitata firta hai...
Bhul ke sab manavta tu kya jane agyani...
Jis jeevan jyot se tu prjvallit hua, vo ek hi hai or khuda/rab ke annsh mitata firta hai...
Vo ek hi hai tu use bhi naamo mein baat ta firta hai...
Hai tujhme bhi vahi lahu laal, hai mujhme bhi vahi lahu laal...
Jo jakhm tune diye masoomo ko bekasooro ko, tujhe haq kisne diya...?
Kisne tujhko behkaya kyo nahi tu khud ki samajh se chala...?
Kyo nahin tune jo tere the un ke sukh mein unka bavishya ka sukh dekha...?
A samne ho mere khada na shastra na ashtra...
Na mere kagaj na unme lipti koi kalam...
Main jeevan-rakshak tu jeevan-bhakshak farak ye itna bada kisne kiya...
Auro ko jeena dhurbhar tune kiya...
Tu khud na jiya...
Tu dharti par kyo aya..
Ye napak mansube or ye irada tujhko kisne sikhlaya kabhi tune uspar gor kiya...?
Ye ali ne bnaya ram ka ghar ye ram ne bnaya ali ka ghar...
Dehshat uske bhi ghar dehshat uske bhi ghar...
Deep jale or jale do wakt ka chula...
Tu kyo jeevan ka nivala chen ke sab kuch bhula...
Un diyo or chule ko bujhane ka tujhe haq kisne diya...
Kesa antar tere mere logo ka...?
Are kon tera, kon mera...?
Ankhein khol dhyan se dekhta sab apna...
Ye chain-o-sukkon se jeete log or tu todta lekar hathon mein bandukein har sundar sapna...




Tuesday, April 4, 2017

Friendzoned

Chal jaa jee le apni zindagi kiya maaf tujhe...
Ab nahi milegi teri khata ki saja tujhe...
Ye dosh tera mai apne sir leta hu...
Ye meri galti hai khule aam kehta hu...
Kya karu dhokhe mein dhokha mujhe mila hai...
Galti kisi ek ki nahi bhugatni pad rahi sirf mujhe saja hai...
Sahi kehti hai ek dost meri ke self respect kho ke logon ko ata kya maja hai...?
Kyo dohri baaton me vo uljha dete hain...
Ye majak tha gehri baaton ko keh ke taal dete hai...
Aj ke samay me log pyar kar ke mukar jaatein hai...
Pehle kareeb aaate hai...
Meethi baaton mein fasate hai...
Jan na chahte hai sara humko...
Mein hu na mein hu na keh ke dil-o-dimag mein cha jaate hai...
Koi unke siva fir apna lagta nahi...
Koi unke siva fir dikhta nahi...
Baat kiye bina koi din gujarta nahi...
Khayal unka dimag se nikalta nahi...
Koi saans fir un bin chalta nahi...
Dekh mere sath kiya kisi or ke sath na kariyo...
Pyar kar ke ya kuch uske jesa na kar mukariyo...
Ek bar yad kar liyo mujhe kise ki ese zindagi tabah na kariyo...
Kisi se na kahiyo jo akela gumsum toota tanha ho ke tu fiqar mat kar mein hu...
Fir kya kise or ki jarurat jab sath bas mein hu...
Mat kahiyo use majak mein bhi ke saath tera zindagi bhar chahye...
Tere jivan mein or tere dil mein jagah khas chahye...
Mat kariyo vo roj ghanto ghanto pyari gehri us se baatein...
Ye sab chez khali dosti mein nahi aate...
Kyo tune kaha ke chor jo mera hai mein tere sath a jaun...
Jab fir chor ek pal ke liye gaya vo fir kyo kaha khus ho jao...
Yahi na ke ab gaya vo tum aur mein bas...
Kyo jab chor mein jana chahta tha to jane na diya...
Kyo jab kaha mene ke dhund lu to kyo kise or ko meri life me aane na diya...
Kyo jalti thi tu ke jab baat kise or se karta tha...
Kyo lagta tha bura jab mein tujse door ha bhagta tha...
Kya hai mujhme esa jo tu sab chor kar bas mere sath waqt bitati thi...
Meri bevkoofi bhari batein kyo tuje itna hasati thi...
Kyo mein tujh se aur tu mujh se aant tak sath rehne ka vaada kar bethe...
Tere hume chahne ke andaaz se jeevan durbhar apna kar bethe...
Kyo tujhe mujhse mil ke esa laga ke jake pas jise tu chahti thi na aane laga maja...
Kya hai mujhme esa jo tu meri har galti ko bhula bas sath mujhe har pal marte dam tak rakhna chahti hai...
Pucha us se to has ke kaha ye dosti hai bs or kuch bhi nahi...
Un mein jise me chahti hu or tuj mein bs hai fark yahi...
Tu dost hai mera mene kaha jo dost mujh mein dhund rahi hai usme dhund...
Jo jivan mein or dil mein special jagah mere dhund rahi hai, jesa tune bola mujse vo uske dil me bana...
Mene pehle hi took diya tha jab dost bana- bana...
Kha tha na mene ke ye pyar bhari baatein us se hi kiya kar...
Or gf vali feeling mujhko na diya kar...
Mein mein bada sidha sadha sa senty emotional banda hu...
Pehle hi kise ke pyar mein mara dardo ka putla jinda hu...
Ehsas jajbaat jaga ke khud ke liye dil mein mere...
Kar judaa jhat mein sabse sath vo mere...
Mukar gayi hath jod gayi kehti hai bas dosti hai...
Tum dost ho mere, mere dil mein tumhare liye pyar jesa kuch nahi hai...
Sayad khali dosti hogi, mene to suru se yahi mana tha...
Jis hal main mein hu kabi na ane ko bhi thaana tha...
Vada kiya tha ke prem-samabandho mein dosti  ko kabhi na badlenge...
Ek duri bana ke dayre mein bhut door tak chal denge...
Ab kya karu sirf dost meri tu hi to sab kuch tujko bata diya...
Kya hua ye sab tujhko samjha diya...
Dekh agar tu khud hi ek ese ladke se jo single and broken-alone hai...
Muskil samay mein sir rakhne ke liye kandha degi...
Mein hu main hu ki pattti ankho par chipka degi...
Vo gf vali sari feeling degi to ye to hona tha...
Mujhe bhatak kahi inhi raaho mein khona tha...
Mein hi tha vo yaad kar tu ghusti chali aati thi ek gap maintain karta tha...
Kahi pyar na ho jaye tujh se isi liye bhut darta tha...
Kahi isi bevkofi ki vajah se khatam na sab kuch ho jaye...
Ek sabse bahtreen dost meri mujh sa na yaro kho jaye...
Ab kya kahu main galti kiski hai, meri hai uski hai...
Ho jata hai yar feelings jab heart hai to kise ke lye bhi aa sakti hai...
Or tu to itni caring perfect or achi hai...
Mujse sab dard sanjha kiye tune or mene tujse is se jyda bat kya achi hai...
Bure waqt mein sath tu mere rahi or mein tere...
Bevkofi bhari baaton se yad hai kese dono ke khil uthte the chehre...
Kitna samjhaya kitna tooka tune kabhi na dhyan diya...
Jiska dar tha hamesha se mujhe tu dekh mere sath vahi hua...

Evolution of Superior Life Forms and their Extinction.

A collision created matter for life in the medium "aqua". Tiny microscopic life evolve into various life forms. From marine pla...